ghairon ke hisse khwaab yahan kaun rakhta hai
naazuk se dil mein taab yahan kaun rakhta hai
har shakhs apne hothon pe rakhta sawaal hain
lab pe koi jabaab yahan kaun rakhta hai
har shakl mein chhupi hai kai shakl dekhiye
shaklon pe ab hijaab yahan kaun rakhta hai
daulat kamaane ki yahan ik hod si lagi
achha bura hisaab yahan kaun rakhta hai
dil jaan se vo chahta ye hai khabar mujhe
kam zyaada ka hisaab yahan kaun rakhta hai
aankhon sa ab suroor kahaan mayqade mein hai
itni bhali sharaab yahan kaun rakhta hai
meri buraai hi nahin achchaai bhi tu dekh
bin kaanton ke gulaab yahan kaun rakhta hai
ab ishq bhi kahi nahin leila sa qais sa
ab pyaar behisaab yahan kaun rakhta hai
har shay mein to chhupe hain malak raaz kya karein
khud ko khuli kitaab yahan kaun rakhta hai
ग़ैरों के हिस्से ख़्वाब यहाँ कौन रखता है
नाज़ुक से दिल में ताब यहाँ कौन रखता है
हर शख़्स अपने होठों पे रखता सवाल हैं
लब पे कोई जबाब यहाँ कौन रखता है
हर शक्ल में छुपी है कई शक्ल देखिए
शक्लों पे अब हिज़ाब यहाँ कौन रखता है
दौलत कमाने की यहाँ इक होड़ सी लगी
अच्छा बुरा हिसाब यहाँ कौन रखता है
दिल जान से वो चाहता, ये है ख़बर मुझे
कम ज़्यादा का हिसाब यहाँ कौन रखता है
आँखों सा अब सुरूर कहाँ मयक़दे में है
इतनी भली शराब यहाँ कौन रखता है
मेरी बुराई ही नहीं अच्छाई भी तू देख
बिन काँटों के गुलाब यहाँ कौन रखता है
अब इश्क़ भी कहीं नहीं लैला सा क़ैस सा
अब प्यार बेहिसाब यहाँ कौन रखता है
हर शय में तो छुपे हैं “मलक” राज़ क्या करें
ख़ुद को खुली किताब यहाँ कौन रखता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ram Singar Malak
our suggestion based on Ram Singar Malak
As you were reading Dil Shayari Shayari