hamein maaloom hota hai ki kya karna zaroori hai | हमें मालूम होता है कि क्या करना ज़रूरी है

  - Ravi Prakash

hamein maaloom hota hai ki kya karna zaroori hai
kidhar jaana dikhaava hai kahaan rahna zaroori hai

magar sab jaankar bhi ham galat ka saath dete hain
besharte hai pata haalat samajh paana zaroori hai

na jaane kyun ye mera dil mujhi se jeet jaata hai
main jab bhi sochta hoon isko samjhaana zaroori hai

ye kitni baar lagta hai ki har had se guzar jaayen
haalaanki jaante hain ham thehar jaana zaroori hai

jinhonne khwaab dekhe hain do-aalam fateh karne ke
unhen dariya-e-gham se tair kar jaana zaroori hai

lagega ye jo apne hain inheen ke saath rahna hai
magar ye khwaab hai isse nikaal jaana zaroori hai

milega kya jo bas baitha raha tu aas mein rab ki
tu shaheen hai tujhe parvaaz par jaana zaroori hai

हमें मालूम होता है कि क्या करना ज़रूरी है
किधर जाना दिखावा है, कहाँ रहना ज़रूरी है

मगर सब जानकर भी हम ग़लत का साथ देते हैं
बशर्ते है पता, हालत समझ पाना ज़रूरी है

ना जाने क्यूँ, ये मेरा दिल मुझी से जीत जाता है
मैं जब भी सोचता हूँ इसको समझाना ज़रूरी है

ये कितनी बार लगता है कि हर हद से ग़ुज़र जाएँ
हालाँकि जानते हैं हम ठहर जाना ज़रूरी है

जिन्होंने ख़्वाब देखे हैं दो-आलम फ़तह करने के
उन्हें दरिया-ए-ग़म से तैर कर जाना ज़रूरी है

लगेगा ये जो अपने हैं, इन्हीं के साथ रहना है
मगर ये ख़्वाब है, इससे निकाल जाना ज़रूरी है

मिलेगा क्या, जो बस बैठा रहा तू आस में रब की?
तू शाहीं है! तुझे परवाज़ पर जाना ज़रूरी है

  - Ravi Prakash

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ravi Prakash

As you were reading Shayari by Ravi Prakash

Similar Writers

our suggestion based on Ravi Prakash

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari