naav kaaghaz ki sahi kuchh to nazar se guzre
us se pehle ki ye paani mere sar se guzre
phir samaat ko ata kar jars-e-gul ki sada
qaafila phir koi is raahguzar se guzre
koi dastak na sada koi tamannaa na talab
ham ki darvesh the yun bhi tire dar se guzre
ghairat-e-ishq to kahti hai ki ab aankh na khol
is ke b'ad ab na koi aur idhar se guzre
main to chaahoon vo sar-e-dasht thehar hi jaaye
par vo saawan ki ghatta jaisa hai barase guzre
habs ki rut mein koi taaza hawa ka jhonka
baad-o-baraan ke khuda mere bhi ghar se guzre
mujh ko mahfooz rakha hai mere chhote qad ne
jitne patthar idhar aaye mere sar se guzre
नाव काग़ज़ की सही कुछ तो नज़र से गुज़रे
उस से पहले कि ये पानी मिरे सर से गुज़रे
फिर समाअत को अता कर जरस-ए-गुल की सदा
क़ाफ़िला फिर कोई इस राहगुज़र से गुज़रे
कोई दस्तक न सदा कोई तमन्ना न तलब
हम कि दरवेश थे यूँ भी तिरे दर से गुज़रे
ग़ैरत-ए-इश्क़ तो कहती है कि अब आँख न खोल
इस के ब'अद अब न कोई और इधर से गुज़रे
मैं तो चाहूँ वो सर-ए-दश्त ठहर ही जाए
पर वो सावन की घटा जैसा है बरसे गुज़रे
हब्स की रुत में कोई ताज़ा हवा का झोंका
बाद-ओ-बाराँ के ख़ुदा मेरे भी घर से गुज़रे
मुझ को महफ़ूज़ रखा है मिरे छोटे क़द ने
जितने पत्थर इधर आए मिरे सर से गुज़रे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Saadullah Kaleem
As you were reading Terrorism Shayari Shayari