boo-e-khush ki tarah har samt bikhar jaaunga | बू-ए-ख़ुश की तरह हर सम्त बिखर जाऊँगा

  - Saba Jayasi

boo-e-khush ki tarah har samt bikhar jaaunga
aahani haathon se ab koi daba de mujh ko

main to muddat se chala aata hoon peeche peeche
gardish-e-waqt kabhi ruk ke sada de mujh ko

din to saara hi kata misl-e-charaag-e-kushta
garmi-e-jism sar-e-shaam jala de mujh ko

tum mujhe dekh ke jo baat kabhi kah na sake
kya ye mumkin nahin aaina bata de mujh ko

jin ko paane se haqeeqat bhi fasana ban jaaye
ab saba aise saraabo ka pata de mujh ko

बू-ए-ख़ुश की तरह हर सम्त बिखर जाऊँगा
आहनी हाथों से अब कोई दबा दे मुझ को

मैं तो मुद्दत से चला आता हूँ पीछे पीछे
गर्दिश-ए-वक़्त कभी रुक के सदा दे मुझ को

दिन तो सारा ही कटा मिस्ल-ए-चराग़-ए-कुश्ता
गर्मी-ए-जिस्म सर-ए-शाम जला दे मुझ को

तुम मुझे देख के जो बात कभी कह न सके
क्या ये मुमकिन नहीं आईना बता दे मुझ को

जिन को पाने से हक़ीक़त भी फ़साना बन जाए
अब 'सबा' ऐसे सराबों का पता दे मुझ को

  - Saba Jayasi

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Jayasi

As you were reading Shayari by Saba Jayasi

Similar Writers

our suggestion based on Saba Jayasi

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari