afkaar ke saanche mein dhali taaza ghazal hai
ya waqt ke pecheeda savaalaat ka hal hai
ye sang ki buniyaad pe ta'aamir na hoga
ye mere takhayyul ka haseen sheesh-mahal hai
main apni mohabbat ka badal dhundh raha hoon
vo kaun hai jo meri mohabbat ka badal hai
ai taar-e-nafs toot bhi ja der na kar ab
ehsaas ki baaleen pe khadi kab se ajal hai
jo arsa-e-maazi hai muarrrikh ki nazar mein
sha'ir ki nigaahon mein vo guzra hua pal hai
jo hijr ke mausam mein khule daagh ki soorat
vo phool b-alfaaz-e-digar aag ka fal hai
main dars-e-tahammul hoon saba raah-e-talab mein
duniya ye samjhti hai ki baazu mera shal hai
अफ़्कार के साँचे में ढली ताज़ा ग़ज़ल है
या वक़्त के पेचीदा सवालात का हल है
ये संग की बुनियाद पे ता'मीर न होगा
ये मेरे तख़य्युल का हसीं शीश-महल है
मैं अपनी मोहब्बत का बदल ढूँड रहा हूँ
वो कौन है जो मेरी मोहब्बत का बदल है
ऐ तार-ए-नफ़स टूट भी जा देर न कर अब
एहसास की बालीं पे खड़ी कब से अजल है
जो अर्सा-ए-माज़ी है मुअर्रिख़ की नज़र में
शाइ'र की निगाहों में वो गुज़रा हुआ पल है
जो हिज्र के मौसम में खुले दाग़ की सूरत
वो फूल ब-अल्फ़ाज़-ए-दिगर आग का फल है
मैं दर्स-ए-तहम्मुल हूँ 'सबा' राह-ए-तलब में
दुनिया ये समझती है कि बाज़ू मिरा शल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saba Naqvi
our suggestion based on Saba Naqvi
As you were reading Aanch Shayari Shayari