kho gai ghairat-e-dil zauq-e-talab baaki hai
kaise mar jaaun ki jeene ka sabab baaki hai
jalwa-e-subh ka manzar hai gulistaan mein to kya
aashiyanoon mein abhi zulmat-e-shab baaki hai
nashr ho jaayegi khud kulfat-e-dauraan ki hadees
tere sha'ir mein agar jurat-e-lab baaki hai
husn aur ishq mein ik khaas hai rabt-e-ulfaat
dil salaamat hai to phir chashm-e-ghazab baaki hai
koocha-e-ishq mein dil aaj bhi hai sargardaan
ab bhi vo shefta-e-aariz-o-lab baaki hai
jab talak dehr mein zinda hai zabaan-e-urdu
raunaq-e-anjuman-e-sher-o-adab baaki hai
gardish-e-waqt ki raftaar bataati hai saba
chashmak-e-soz-e-alam saaz-e-tarab baaki hai
खो गई ग़ैरत-ए-दिल ज़ौक़-ए-तलब बाक़ी है
कैसे मर जाऊँ कि जीने का सबब बाक़ी है
जल्वा-ए-सुब्ह का मंज़र है गुलिस्ताँ में तो क्या
आशियानों में अभी ज़ुल्मत-ए-शब बाक़ी है
नश्र हो जाएगी ख़ुद कुल्फ़त-ए-दौराँ की हदीस
तेरे शाइ'र में अगर जुरअत-ए-लब बाक़ी है
हुस्न और इश्क़ में इक ख़ास है रब्त-ए-उल्फ़त
दिल सलामत है तो फिर चश्म-ए-ग़ज़ब बाक़ी है
कूचा-ए-इश्क़ में दिल आज भी है सरगर्दां
अब भी वो शेफ़्ता-ए-आरिज़-ओ-लब बाक़ी है
जब तलक दहर में ज़िंदा है ज़बान-ए-उर्दू
रौनक़-ए-अंजुमन-ए-शेर-ओ-अदब बाक़ी है
गर्दिश-ए-वक़्त की रफ़्तार बताती है 'सबा'
चश्मक-ए-सोज़-ए-अलम साज़-ए-तरब बाक़ी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saba Naqvi
our suggestion based on Saba Naqvi
As you were reading Chehra Shayari Shayari