main badalte mausamon ke rang se bezaar hoon | मैं बदलते मौसमों के रंग से बेज़ार हूँ

  - Saba Naqvi

main badalte mausamon ke rang se bezaar hoon
har nayi rut se chaman mein barsar-e-paikaar hoon

husn-e-yoosuf ke khareedaaro badho meri taraf
main adab ke daayere mein misr ka bazaar hoon

waqt ke haathon bigadta hoon sanwarne ke liye
main samundar ke kinaare ret ki deewaar hoon

kaun sa hai marhala jo mujh se tay paata nahin
main khud apne raaste ki manzil-e-dushwaar hoon

jis ko padhna hai mujhe vo pehli furqat mein parhe
subh ke haathon mein pichhli raat ka akhbaar hoon

khwaab hai mere liye mauj-e-hawa ki taazgi
main shajar par zard patte ki tarah bedaar hoon

meri gardan par saba hai apni shohrat ka lahu
main amal ki raushni mein jurm ka iqaar hoon

मैं बदलते मौसमों के रंग से बेज़ार हूँ
हर नई रुत से चमन में बरसर-ए-पैकार हूँ

हुस्न-ए-यूसुफ़ के ख़रीदारो बढ़ो मेरी तरफ़
मैं अदब के दाएरे में मिस्र का बाज़ार हूँ

वक़्त के हाथों बिगड़ता हूँ सँवरने के लिए
मैं समुंदर के किनारे रेत की दीवार हूँ

कौन सा है मरहला जो मुझ से तय पाता नहीं
मैं ख़ुद अपने रास्ते की मंज़िल-ए-दुश्वार हूँ

जिस को पढ़ना है मुझे वो पहली फ़ुर्सत में पढ़े
सुब्ह के हाथों में पिछली रात का अख़बार हूँ

ख़्वाब है मेरे लिए मौज-ए-हवा की ताज़गी
मैं शजर पर ज़र्द पत्ते की तरह बेदार हूँ

मेरी गर्दन पर 'सबा' है अपनी शोहरत का लहू
मैं अमल की रौशनी में जुर्म का इक़रार हूँ

  - Saba Naqvi

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Naqvi

As you were reading Shayari by Saba Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Saba Naqvi

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari