raah-e-hayaat mein dil-e-veeraan duhaai de | राह-ए-हयात में दिल-ए-वीराँ दुहाई दे

  - Saba Naqvi

raah-e-hayaat mein dil-e-veeraan duhaai de
dushman ko bhi khuda na gham-e-aashnaai de

main saahib-e-qalam hoon mujhe ai shuoor-e-fan
aaye na jo girift mein aisi kalaaee de

duniya fareb-e-rishta-e-baahm na de mujhe
jo bhaai-chaargi ka ho paikar vo bhaai de

main apna haath apne lahu mein dubo na luun
jab tak vo mere haath mein dasht-e-hinaai de

khanjar hai jis ke haath mein patthar hai jis ka dil
kya us ke saamne koi apni safaai de

jis par mere lahu ne sajaaya tha naqsh-e-dil
ai kaash phir mujhe vo hatheli dikhaai de

is taaza karbala mein bhi yaarab dua ye hai
eesaar ko nasheb wafa ko taraai de

doori qareen-e-maslhat-e-waqt hai agar
qurbat ke naam par mujhe daag-e-judai de

sehan-e-chaman mein gosh-bar-awaaz hai saba
shaayad dil-e-shameem ki dhadkan sunaai de

राह-ए-हयात में दिल-ए-वीराँ दुहाई दे
दुश्मन को भी ख़ुदा न ग़म-ए-आश्नाई दे

मैं साहिब-ए-क़लम हूँ मुझे ऐ शुऊर-ए-फ़न
आए न जो गिरफ़्त में ऐसी कलाई दे

दुनिया फ़रेब-ए-रिश्ता-ए-बाहम न दे मुझे
जो भाई-चारगी का हो पैकर वो भाई दे

मैं अपना हाथ अपने लहू में डुबो न लूँ
जब तक वो मेरे हाथ में दस्त-ए-हिनाई दे

ख़ंजर है जिस के हाथ में पत्थर है जिस का दिल
क्या उस के सामने कोई अपनी सफ़ाई दे

जिस पर मिरे लहू ने सजाया था नक़्श-ए-दिल
ऐ काश फिर मुझे वो हथेली दिखाई दे

इस ताज़ा कर्बला में भी यारब दुआ ये है
ईसार को नशेब वफ़ा को तराई दे

दूरी क़रीन-ए-मस्लहत-ए-वक़्त है अगर
क़ुर्बत के नाम पर मुझे दाग़-ए-जुदाई दे

सेहन-ए-चमन में गोश-बर-आवाज़ है 'सबा'
शायद दिल-ए-शमीम की धड़कन सुनाई दे

  - Saba Naqvi

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Naqvi

As you were reading Shayari by Saba Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Saba Naqvi

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari