be-ma'ni la-haasil raddi sher'on ka hai jaal udhar | बे-मा'नी ला-हासिल रद्दी शे'रों का है जाल उधर

  - Saba Naqvi

be-ma'ni la-haasil raddi sher'on ka hai jaal udhar
jo cheezen be-kaar hain pyaare un cheezein ko daal udhar

kuchh tajweezen paas karega waqt ke haathon ye ijlaas
majboor-o-naadaar idhar hain aasooda khush-haal udhar

beech mein haa'il kar de koi kaash takalluf ki deewaar
udhar hai rela gul-cheenon ka aur gulon mein kaal idhar

khoon-e-tamanna ki surkhi se dil ki hikaayat hai rangeen
daaman ki taqdeer idhar hai gulshan ka iqbaal udhar

un ki bazm se aane waale thaam ke dil farmaate hain
jaane waalo udhar na jaao jurm hai arz-e-haal udhar

jalsa-e-gham ki tayyaari mein udhar hain jeete jee masroof
paidaish ka jashn manaaya yaaron ne har saal udhar

ik muddat se dekh raha hoon hota hai har baar yahi
idhar saba ne khwaab sajaaya waqt ne badli chaal udhar

बे-मा'नी ला-हासिल रद्दी शे'रों का है जाल उधर
जो चीज़ें बे-कार हैं प्यारे उन चीज़ों को डाल उधर

कुछ तज्वीज़ें पास करेगा वक़्त के हाथों ये इजलास
मजबूर-ओ-नादार इधर हैं आसूदा ख़ुश-हाल उधर

बीच में हाइल कर दे कोई काश तकल्लुफ़ की दीवार
उधर है रेला गुल-चीनों का और गुलों में काल इधर

ख़ून-ए-तमन्ना की सुर्ख़ी से दिल की हिकायत है रंगीं
दामन की तक़दीर इधर है गुलशन का इक़बाल उधर

उन की बज़्म से आने वाले थाम के दिल फ़रमाते हैं
जाने वालो उधर न जाओ जुर्म है अर्ज़-ए-हाल उधर

जल्सा-ए-ग़म की तय्यारी में उधर हैं जीते जी मसरूफ़
पैदाइश का जश्न मनाया यारों ने हर साल उधर

इक मुद्दत से देख रहा हूँ होता है हर बार यही
इधर 'सबा' ने ख़्वाब सजाया वक़्त ने बदली चाल उधर

  - Saba Naqvi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Naqvi

As you were reading Shayari by Saba Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Saba Naqvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari