haiwaan ki manzil mein bashar hai ki nahin hai | हैवान की मंज़िल में बशर है कि नहीं है

  - Saba Naqvi

haiwaan ki manzil mein bashar hai ki nahin hai
insaan ko insaan ka dar hai ki nahin hai

me'yaar-e-tajallii se to waqif hain nigaahen
jalwon ko bhi andaaz-e-nazar hai ki nahin hai

farzaana-e-dauraan bhi hai is baat pe khaamosh
deewaana sar-e-raahguzar hai ki nahin hai

jis azm se manzil pe pahunchte hain musaafir
vo azm b-ein zauq-e-safar hai ki nahin hai

be-saakhta manzil ki taraf bhaagne waalo
raftaar-e-zamaana ki khabar hai ki nahin hai

rangeeni-e-aaghaaz-e-bahaaraan ke aseero
anjaam-e-bahaaraan pe nazar hai ki nahin hai

na-qadri-e-afkaar ke is daur-e-falak mein
maail ba-qalam dast-e-hunar hai ki nahin hai

arbaab-e-mohabbat pe jo dhaai hai qayamat
us shaam-e-shab-e-gham ki sehar hai ki nahin hai

jis dar se naseem-e-sehri ghar mein ho daakhil
kaashaana-e-imkaan mein vo dar hai ki nahin hai

baatil ka gala kaat de jo haq ki madad se
khoon-e-rag-e-jaan mein vo asar hai ki nahin hai

jis daagh ki taarif hai daagh-e-gham-e-jaanaan
vo daagh b-me'yaar-e-jigar hai ki nahin hai

vo zakhm-e-tamanna jo muqaddar hai saba ka
us zakham pe hikmat ki nazar hai ki nahin hai

हैवान की मंज़िल में बशर है कि नहीं है
इंसान को इंसान का डर है कि नहीं है

मेआ'र-ए-तजल्ली से तो वाक़िफ़ हैं निगाहें
जलवों को भी अंदाज़-ए-नज़र है कि नहीं है

फ़रज़ाना-ए-दौराँ भी है इस बात पे ख़ामोश
दीवाना सर-ए-राहगुज़र है कि नहीं है

जिस अज़्म से मंज़िल पे पहुँचते हैं मुसाफ़िर
वो अज़्म ब-ईं ज़ौक़-ए-सफ़र है कि नहीं है

बे-साख़्ता मंज़िल की तरफ़ भागने वालो
रफ़्तार-ए-ज़माना की ख़बर है कि नहीं है

रंगीनी-ए-आग़ाज़-ए-बहाराँ के असीरो
अंजाम-ए-बहाराँ पे नज़र है कि नहीं है

ना-क़दरी-ए-अफ़्कार के इस दौर-ए-फ़लक में
माइल बा-क़लम दस्त-ए-हुनर है कि नहीं है

अरबाब-ए-मोहब्बत पे जो ढाई है क़यामत
उस शाम-ए-शब-ए-ग़म की सहर है कि नहीं है

जिस दर से नसीम-ए-सहरी घर में हो दाख़िल
काशाना-ए-इम्काँ में वो दर है कि नहीं है

बातिल का गला काट दे जो हक़ की मदद से
ख़ून-ए-रग-ए-जाँ में वो असर है कि नहीं है

जिस दाग़ की तारीफ़ है दाग़-ए-ग़म-ए-जानाँ
वो दाग़ ब-मेआ'र-ए-जिगर है कि नहीं है

वो ज़ख़्म-ए-तमन्ना जो मुक़द्दर है 'सबा' का
उस ज़ख़्म पे हिकमत की नज़र है कि नहीं है

  - Saba Naqvi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Naqvi

As you were reading Shayari by Saba Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Saba Naqvi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari