tamaam umr ho na paai vo nazar apni | तमाम उम्र हो न पाई वो नज़र अपनी

  - Saba Naqvi

tamaam umr ho na paai vo nazar apni
rah-e-hayaat mein banti jo hum-safar apni

hazaar sang-e-garaan zindagi ki raah mein the
na jaane kaise jahaan mein hui basar apni

zameen pe zabt-e-fughaan sai-e-raaegaan thehra
falak pe ja ke hui aah be-asar apni

kisi risaale mein shaaye ho jaise koi ghazal
kuchh is tarah se hui baat mushtar apni

mujhe shikaayat-e-aghyaar se garz kyun ho
hasi udaai hai yaaron ne khaas kar apni

vo kya kisi ko mulaqaat ka sharf dega
jo khairiyat bhi na likh paaye do satar apni

mila na chain tiri justuju mein saara din
lagi na aankh tire gham mein raat bhar apni

suraagh-e-manzil-e-irfaan na mil sakega kabhi
ghalt-ravi se hazeeraat hai sar-basar apni

gulon ka khoon tha rang-e-bahaar ke peeche
fareb kha na saki chashm-e-mo'tabar apni

hawa-e-shauq ke peeche ghubaar ban ke udri
bisaat bhool gai hasti-e-bashar apni

main inkishaaf karoon bhi to kis tarah se saba
taveel raaz hai aur umr mukhtasar apni

तमाम उम्र हो न पाई वो नज़र अपनी
रह-ए-हयात में बनती जो हम-सफ़र अपनी

हज़ार संग-ए-गराँ ज़िंदगी की राह में थे
न जाने कैसे जहाँ में हुई बसर अपनी

ज़मीं पे ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ सई-ए-राएगाँ ठहरा
फ़लक पे जा के हुई आह बे-असर अपनी

किसी रिसाले में शाए हो जैसे कोई ग़ज़ल
कुछ इस तरह से हुई बात मुश्तहर अपनी

मुझे शिकायत-ए-अग़्यार से ग़रज़ क्यों हो
हँसी उड़ाई है यारों ने ख़ास कर अपनी

वो क्या किसी को मुलाक़ात का शरफ़ देगा
जो ख़ैरियत भी न लिख पाए दो सतर अपनी

मिला न चैन तिरी जुस्तुजू में सारा दिन
लगी न आँख तिरे ग़म में रात भर अपनी

सुराग़-ए-मंज़िल-ए-इरफ़ाँ न मिल सकेगा कभी
ग़लत-रवी से हज़ीमत है सर-बसर अपनी

गुलों का ख़ून था रंग-ए-बहार के पीछे
फ़रेब खा न सकी चश्म-ए-मो'तबर अपनी

हवा-ए-शौक़ के पीछे ग़ुबार बन के उड़ी
बिसात भूल गई हस्ती-ए-बशर अपनी

मैं इंकिशाफ़ करूँ भी तो किस तरह से 'सबा'
तवील राज़ है और उम्र मुख़्तसर अपनी

  - Saba Naqvi

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saba Naqvi

As you were reading Shayari by Saba Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Saba Naqvi

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari