nazar ke surkh dore dil mein utre
musaafir daaman-e-saahil mein utre
fazaaon mein udaanen bharne waale
patange gosha-e-mehfil mein utre
khanakte nuqraai sikko ke taair
tilaai kaasa-e-saail mein utre
kai khanjar nigaah-e-khishmagin ke
b-yak lamha dil-e-bismil mein utre
kafan-bar-dosh the ahl-e-mohabbat
baqa ki jaavedaan manzil mein utre
na bhule ahad-e-haazir ke taqaze
ghazal jab fikr ki mahmil mein utre
saba ke saath rahmat ke farishte
achaanak koocha-e-qaatil mein utre
नज़र के सुर्ख़ डोरे दिल में उतरे
मुसाफ़िर दामन-ए-साहिल में उतरे
फ़ज़ाओं में उड़ानें भरने वाले
पतंगे गोशा-ए-महफ़िल में उतरे
खनकते नुक़रई सिक्कों के ताइर
तिलाई कासा-ए-साइल में उतरे
कई ख़ंजर निगाह-ए-ख़िशमगीं के
ब-यक लम्हा दिल-ए-बिस्मिल में उतरे
कफ़न-बर-दोश थे अहल-ए-मोहब्बत
बक़ा की जावेदाँ मंज़िल में उतरे
न भूले अहद-ए-हाज़िर के तक़ाज़े
ग़ज़ल जब फ़िक्र की महमिल में उतरे
'सबा' के साथ रहमत के फ़रिश्ते
अचानक कूचा-ए-क़ातिल में उतरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saba Naqvi
our suggestion based on Saba Naqvi
As you were reading Musafir Shayari Shayari