kabhi to dil ka kaha dil se vo sunega hi | कभी तो दिल का कहा दिल से वो सुनेगा ही

  - Sabeela Inam Siddiqui

kabhi to dil ka kaha dil se vo sunega hi
ye qatra sang mein sooraakh to karega hi

vo mere haath se barsaat ke zamaane mein
pakode khayega aur chaai bhi piyega hi

suhaani shaam kisi dil-nasheen waadi mein
vo do hi saath saath chale chalega hi

abhi ye soch ke main zulm sahti jaati hoon
kabhi to haath tire zulm ka rukega hi

ye daag-e-dil nahin jo chhup sake chhupaane se
badan ka zakham hai ab khoon to bahega hi

aseer sab hain fana ke hisaar mein lekin
khuda ki yaad se behtar sila milega hi

shu'ur se hi bashar chaand par bhi pahuncha hai
zamaana ilm ki daulat se to badhega hi

koi ghuroor mein ilaan-e-khud-sari kar le
khuda ke saamne aakhir ko sar jhukega hi

sabeela tere haqeeqat bayaan karne se
jahaan pe raaz-e-junoon ek din khulega hi

कभी तो दिल का कहा दिल से वो सुनेगा ही
ये क़तरा संग में सूराख़ तो करेगा ही

वो मेरे हाथ से बरसात के ज़माने में
पकौड़े खाएगा और चाय भी पिएगा ही

सुहानी शाम किसी दिल-नशीं वादी में
वो दो ही साथ साथ चले चलेगा ही

अभी ये सोच के मैं ज़ुल्म सहती जाती हूँ
कभी तो हाथ तिरे ज़ुल्म का रुकेगा ही

ये दाग़-ए-दिल नहीं जो छुप सके छुपाने से
बदन का ज़ख़्म है अब ख़ून तो बहेगा ही

असीर सब हैं फ़ना के हिसार में लेकिन
ख़ुदा की याद से बेहतर सिला मिलेगा ही

शुऊ'र से ही बशर चाँद पर भी पहुँचा है
ज़माना इल्म की दौलत से तो बढ़ेगा ही

कोई ग़ुरूर में एलान-ए-ख़ुद-सरी कर ले
ख़ुदा के सामने आख़िर को सर झुकेगा ही

'सबीला' तेरे हक़ीक़त बयान करने से
जहाँ पे राज़-ए-जुनूँ एक दिन खुलेगा ही

  - Sabeela Inam Siddiqui

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabeela Inam Siddiqui

As you were reading Shayari by Sabeela Inam Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Sabeela Inam Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari