khaamosh hoon main lab pe shikaayat to nahin hai | ख़ामोश हूँ मैं लब पे शिकायत तो नहीं है

  - Sabeela Inam Siddiqui

khaamosh hoon main lab pe shikaayat to nahin hai
fariyaad karoon ye meri aadat to nahin hai

jo mauj-e-gham-o-dard uthi hai mere dil mein
hangaama to be-shak hai qayamat to nahin hai

shaayad mujhe mil jaaye mere dard ka darmaan
ummeed sahi chain ki haalat to nahin hai

furqat mein mujhe yaad bhi kar leejie ik din
ye arz mohabbat ki alaamat to nahin hai

mil jaaye sar-e-raah kisi mod pe koi
ik haadsa be-shak hai rifaqat to nahin hai

insaaf jise haq ka taraf-daar kahein sab
is mulk mein qaaim vo adaalat to nahin hai

kyun ghar se nikalte hue darte hain yahan log
is shehar mein qaanoon-e-hifaazat to nahin hai

allah raza par tiri raazi hi rahoongi
ho shikwa zabaan par ye jasaarat to nahin hai

aabaad raha dil mein wahi ek sabeela
ab gair ko aane ki ijaazat to nahin hai

ख़ामोश हूँ मैं लब पे शिकायत तो नहीं है
फ़रियाद करूँ ये मिरी आदत तो नहीं है

जो मौज-ए-ग़म-ओ-दर्द उठी है मिरे दिल में
हंगामा तो बे-शक है क़यामत तो नहीं है

शायद मुझे मिल जाए मिरे दर्द का दरमाँ
उम्मीद सही चैन की हालत तो नहीं है

फ़ुर्सत में मुझे याद भी कर लीजिए इक दिन
ये अर्ज़ मोहब्बत की अलामत तो नहीं है

मिल जाए सर-ए-राह किसी मोड़ पे कोई
इक हादसा बे-शक है रिफ़ाक़त तो नहीं है

इंसाफ़ जिसे हक़ का तरफ़-दार कहें सब
इस मुल्क में क़ाएम वो अदालत तो नहीं है

क्यूँ घर से निकलते हुए डरते हैं यहाँ लोग
इस शहर में क़ानून-ए-हिफ़ाज़त तो नहीं है

अल्लाह रज़ा पर तिरी राज़ी ही रहूँगी
हो शिकवा ज़बाँ पर ये जसारत तो नहीं है

आबाद रहा दिल में वही एक 'सबीला'
अब ग़ैर को आने की इजाज़त तो नहीं है

  - Sabeela Inam Siddiqui

Good morning Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabeela Inam Siddiqui

As you were reading Shayari by Sabeela Inam Siddiqui

Similar Writers

our suggestion based on Sabeela Inam Siddiqui

Similar Moods

As you were reading Good morning Shayari Shayari