amn-o-amaan pyaar ki sougaat chahiye
khwaabon ko neend neend ko bhi raat chahiye
vo daav aazmaane ko taiyyaar hain bahut
un ko khabar nahin ki hamein maat chahiye
shikwa agar na ho to kahaan un se baat ho
taqreeb kuchh to bahr-e-mulaqaat chahiye
aankhon mein ratjaga hai uthaane ko koi khwaab
ta'beer ko to ashkon ki barsaat chahiye
khoon-rang hue shaam-o-sehar be-khabar rahe
muafi nahin talaafi-e-maafaat chahiye
patthar ka shehar hai to hai murda-dili bhi aam
saanson ke zer-o-bam ko nabaatat chahiye
dastaar se uljh ke gireen khwaahishein tamaam
dil ki khalish ko kunj-e-mukaafat chahiye
अम्न-ओ-अमान प्यार की सौग़ात चाहिए
ख़्वाबों को नींद नींद को भी रात चाहिए
वो दाव आज़माने को तय्यार हैं बहुत
उन को ख़बर नहीं कि हमें मात चाहिए
शिकवा अगर न हो तो कहाँ उन से बात हो
तक़रीब कुछ तो बहर-ए-मुलाक़ात चाहिए
आँखों में रतजगा है उठाने को कोई ख़्वाब
ता'बीर को तो अश्कों की बरसात चाहिए
ख़ूँ-रंग हुए शाम-ओ-सहर बे-ख़बर रहे
मुआ'फ़ी नहीं तलाफ़ी-ए-माफ़ात चाहिए
पत्थर का शहर है तो है मुर्दा-दिली भी आम
साँसों के ज़ेर-ओ-बम को नबातात चाहिए
दस्तार से उलझ के गिरीं ख़्वाहिशें तमाम
दिल की ख़लिश को कुंज-ए-मुकाफ़ात चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabeen Yunus
our suggestion based on Sabeen Yunus
As you were reading Aansoo Shayari Shayari