haath aage kiya aur dast-e-karam thaam liya
sar jhuka paai to palkon se haram thaam liya
main ne is duniya ke dastoor se baagi ho kar
haq-o-insaaf-o-mohabbat. ka alam thaam liya
haq ko baatil se milaate hue dekha sab ko
kuchh na kuchh sach ke bataane ko qalam thaam liya
na-tawan zulm badhaate hain ye jaana jab se
khud pe uthata hua har dast-e-sitam thaam liya
zinda rahne ki tamannaa mein hai marna mushkil
jaanib-e-daar-o-rasan badhta qadam thaam liya
हाथ आगे किया और दस्त-ए-करम थाम लिया
सर झुका पाई तो पलकों से हरम थाम लिया
मैं ने इस दुनिया के दस्तूर से बाग़ी हो कर
हक़-ओ-इंसाफ़-ओ-मोहब्बत का अलम थाम लिया
हक़ को बातिल से मिलाते हुए देखा सब को
कुछ न कुछ सच के बताने को क़लम थाम लिया
ना-तवाँ ज़ुल्म बढ़ाते हैं ये जाना जब से
ख़ुद पे उठता हुआ हर दस्त-ए-सितम थाम लिया
ज़िंदा रहने की तमन्ना में है मरना मुश्किल
जानिब-ए-दार-ओ-रसन बढ़ता क़दम थाम लिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabeen Yunus
our suggestion based on Sabeen Yunus
As you were reading Freedom Shayari Shayari