na ye andaaz na lafzon se bayaan hoti hai
dil ki haalat to nigaahon se ayaan hoti hai
ham zamaane se jude hain to zamaana ham se
ham koi baat karein sab ki zabaan hoti hai
kuchh to pindaar-e-wafa ka hi bharam rakh lete
bad-gumaani rah-e-ulfat mein giran hoti hai
jis ko apna kaha phir jaan luta di us par
qadr khud-garzon ko par jaan ki kahaan hoti hai
raat ke pichhle pahar khulte hain daftar dil ke
apni aahon ki sada sun ke azaan hoti hai
न ये अंदाज़ न लफ़्ज़ों से बयाँ होती है
दिल की हालत तो निगाहों से अयाँ होती है
हम ज़माने से जुड़े हैं तो ज़माना हम से
हम कोई बात करें सब की ज़बाँ होती है
कुछ तो पिंदार-ए-वफ़ा का ही भरम रख लेते
बद-गुमानी रह-ए-उल्फ़त में गिराँ होती है
जिस को अपना कहा फिर जान लुटा दी उस पर
क़द्र ख़ुद-ग़रज़ों को पर जाँ की कहाँ होती है
रात के पिछले पहर खुलते हैं दफ़्तर दिल के
अपनी आहों की सदा सुन के अज़ाँ होती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabeen Yunus
our suggestion based on Sabeen Yunus
As you were reading Adaa Shayari Shayari