nahin ho paayegi tujh par ayaan aazurdagi dil ki | नहीं हो पाएगी तुझ पर अयाँ आज़ुर्दगी दिल की

  - Sabeen Yunus

nahin ho paayegi tujh par ayaan aazurdagi dil ki
chhupa rakhi nihaan-khaanon mein hai afsurdagi dil ki

thakan chehron pe hai aur raunqen napaaid duniya ki
andheron mein na jaane kab se hai taabindagi dil ki

koi nabzein tattolay saans ki bhi aahaten parkhay
milega khoj na koi hai kya darmaandagi dil ki

zamaana apni chaalein chal gaya hai ham yahin par hain
na apne saath ab tak ho saki aamaadagi dil ki

saraabo mein qadam hain to udaanen hain khayaalon mein
naye raston pe le aayi hai ye uftaadagi dil ki

fatawa-e-jahaan-geeri ravish kaise badal paaye
jo khud ke bhi na bas mein ho sake aashuftagi dil ki

jafaa badle wafa ke aur mohabbat ki jazaa nafrat
mitegi kya kisi taujiheh se sharmindagi dil ki

gul-e-ummeed khilne ko chaman mein aabiyaari ho
khizaan ka roop na dhaare kahi pazmurdagi dil ki

hamein ik aalam-e-taskin mein rahna mayassar ho
sabeen sharf-e-qubooliyat jo paaye bandagi dil ki

नहीं हो पाएगी तुझ पर अयाँ आज़ुर्दगी दिल की
छुपा रक्खी निहाँ-ख़ानों में है अफ़्सुर्दगी दिल की

थकन चेहरों पे है और रौनक़ें नापैद दुनिया की
अँधेरों में न जाने कब से है ताबिंदगी दिल की

कोई नब्ज़ें टटोले साँस की भी आहटें परखे
मिलेगा खोज न कोई है क्या दरमांदगी दिल की

ज़माना अपनी चालें चल गया है हम यहीं पर हैं
न अपने साथ अब तक हो सकी आमादगी दिल की

सराबों में क़दम हैं तो उड़ानें हैं ख़यालों में
नए रस्तों पे ले आई है ये उफ़्तादगी दिल की

फ़तावा-ए-जहाँ-गीरी रविश कैसे बदल पाएँ
जो ख़ुद के भी न बस में हो सके आशुफ़्तगी दिल की

जफ़ा बदले वफ़ा के और मोहब्बत की जज़ा नफ़रत
मिटेगी क्या किसी तौजीह से शर्मिंदगी दिल की

गुल-ए-उम्मीद खिलने को चमन में आबियारी हो
ख़िज़ाँ का रूप न धारे कहीं पज़मुर्दगी दिल की

हमें इक आलम-ए-तस्कीन में रहना मयस्सर हो
'सबीं' शरफ़-ए-क़ुबूलियत जो पाए बंदगी दिल की

  - Sabeen Yunus

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabeen Yunus

As you were reading Shayari by Sabeen Yunus

Similar Writers

our suggestion based on Sabeen Yunus

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari