bikhar gai hoon to kya aasmaan mera hai
zameen pe paanv nahin khaak-daan mera hai
utar gaya hai saraapa dukhon ki daldal mein
jo rah gaya hai zara sa nishaan mera hai
mita gai hai zamaane ki dast-burd use
jo saamne hai khandar sa makaan mera hai
chhupa na paayega vo jurm dil ka khun kar ke
khilaaf us ke chala jo bayaan mera hai
bachaayega tujhe raaste ki kulfaton se tamaam
tumhaare saath jo rehta dhiyaan mera hai
zamaane bhar mein hi taariqiyaan magar dil mein
jale hain daagh to raushan jahaan mera hai
बिखर गई हूँ तो क्या आसमान मेरा है
ज़मीं पे पाँव नहीं ख़ाक-दान मेरा है
उतर गया है सरापा दुखों की दलदल में
जो रह गया है ज़रा सा निशान मेरा है
मिटा गई है ज़माने की दस्त-बुर्द उसे
जो सामने है खंडर सा मकान मेरा है
छुपा न पाएगा वो जुर्म दिल का ख़ूँ कर के
ख़िलाफ़ उस के चला जो बयान मेरा है
बचाएगा तुझे रस्ते की कुल्फ़तों से तमाम
तुम्हारे साथ जो रहता धियान मेरा है
ज़माने भर में ही तारीकियाँ मगर दिल में
जले हैं दाग़ तो रौशन जहान मेरा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabeen Yunus
our suggestion based on Sabeen Yunus
As you were reading Relationship Shayari Shayari