kaarobaar-e-zindagi se jis ka dil ghabraayega | कारोबार-ए-ज़िंदगी से जिस का दिल घबराएगा

  - Sabir Aarwi

kaarobaar-e-zindagi se jis ka dil ghabraayega
yaar ki zulf-e-rasa ke saaye mein aa jaayega

tazkira rukhsaar ka ya zikr-e-zulf-e-yaar ho
kaif aankhon mein yaqeenan kuchh na kuchh chha jaayega

jo manaazir aaj tak tum ne kabhi dekhe nahin
koi tum ko vo manaazir ek din dikhlaayega

ab karam-farmaiyaan hon ya itaab-e-naaz ho
aap ke dast-e-karam se dil sila kuchh paayega

waqt ki uljhi hui zulfen sanwaare kis tarah
ahl-e-dil ko ye saleeqa khud-bakhud aa jaayega

aap pehle hans ke gham khaate rahe saabir magar
ab yahi gham rafta rafta aap ko kha jaayega

कारोबार-ए-ज़िंदगी से जिस का दिल घबराएगा
यार की ज़ुल्फ़-ए-रसा के साए में आ जाएगा

तज़्किरा रुख़्सार का या ज़िक्र-ए-ज़ुल्फ़-ए-यार हो
कैफ़ आँखों में यक़ीनन कुछ न कुछ छा जाएगा

जो मनाज़िर आज तक तुम ने कभी देखे नहीं
कोई तुम को वो मनाज़िर एक दिन दिखलाएगा

अब करम-फ़रमाइयाँ हों या इताब-ए-नाज़ हो
आप के दस्त-ए-करम से दिल सिला कुछ पाएगा

वक़्त की उलझी हुई ज़ुल्फ़ें सँवारें किस तरह
अहल-ए-दिल को ये सलीक़ा ख़ुद-बख़ुद आ जाएगा

आप पहले हँस के ग़म खाते रहे 'साबिर' मगर
अब यही ग़म रफ़्ता रफ़्ता आप को खा जाएगा

  - Sabir Aarwi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Aarwi

As you were reading Shayari by Sabir Aarwi

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Aarwi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari