yun jawaani aayi ruksat ho gai
aaina dekha to hairat ho gai
badh gai kuchh aur tauqeer-e-junoon
apna ghar dekha to vehshat ho gai
chhup chhupaate phir rahe the aaj tak
aaj tasht-az-baam gurbat ho gai
justuju ke paanv thak kar rah gaye
doori-e-manzil qayamat ho gai
aap ke aane se bas itna hua
kuchh to taskin-e-tabeeat ho gai
aaye baithe aur uth kar chal diye
kis qadar jaldi qayamat ho gai
यूँ जवानी आई रुख़्सत हो गई
आइना देखा तो हैरत हो गई
बढ़ गई कुछ और तौक़ीर-ए-जुनूँ
अपना घर देखा तो वहशत हो गई
छुप छुपाते फिर रहे थे आज तक
आज तश्त-अज़-बाम ग़ुर्बत हो गई
जुस्तुजू के पाँव थक कर रह गए
दूरी-ए-मंज़िल क़यामत हो गई
आप के आने से बस इतना हुआ
कुछ तो तस्कीन-ए-तबीअत हो गई
आए बैठे और उठ कर चल दिए
किस क़दर जल्दी क़यामत हो गई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir Aarwi
our suggestion based on Sabir Aarwi
As you were reading Ghar Shayari Shayari