kya kya na dil pe daagh uthaaye hue hain ham | क्या क्या न दिल पे दाग़ उठाए हुए हैं हम

  - Sabir Aarwi

kya kya na dil pe daagh uthaaye hue hain ham
ik ghar mein sau charaagh jalaae hue hain ham

ab is chaman se aur ho ummeed kya hamein
ai subh-e-nau fareb to khaaye hue hain ham

un ki nigaah-o-abroo-o-rukh'saar ka khayal
kuchh soch kar gale se lagaaye hue hain ham

tasveer roo-e-yaar ke husn-o-sifaat ki
is dil ke aaine mein basaaye hue hain ham

ai dost aa ke dekh le mehmaan-nawaaziyaan
ik khaana-e-umeed sajaaye hue hain ham

is khauf se ki dil ka janaaza nikal na jaaye
apne gham-o-alam ko chhupaaye hue hain ham

shaayad guzar saba ka kabhi is taraf se ho
ik raahguzaar pe phool bichhaaye hue hain ham

ab vo bithaayein dil mein ki dil se nikaal den
saabir kisi ki bazm mein aaye hue hain ham

क्या क्या न दिल पे दाग़ उठाए हुए हैं हम
इक घर में सौ चराग़ जलाए हुए हैं हम

अब इस चमन से और हो उम्मीद क्या हमें
ऐ सुब्ह-ए-नौ फ़रेब तो खाए हुए हैं हम

उन की निगाह-ओ-अबरू-ओ-रुख़्सार का ख़याल
कुछ सोच कर गले से लगाए हुए हैं हम

तस्वीर रू-ए-यार के हुस्न-ओ-सिफ़ात की
इस दिल के आइने में बसाए हुए हैं हम

ऐ दोस्त आ के देख ले मेहमाँ-नवाज़ीयाँ
इक ख़ाना-ए-उमीद सजाए हुए हैं हम

इस ख़ौफ़ से कि दिल का जनाज़ा निकल न जाए
अपने ग़म-ओ-अलम को छुपाए हुए हैं हम

शायद गुज़र सबा का कभी इस तरफ़ से हो
इक रहगुज़र पे फूल बिछाए हुए हैं हम

अब वो बिठाएँ दिल में कि दिल से निकाल दें
'साबिर' किसी की बज़्म में आए हुए हैं हम

  - Sabir Aarwi

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Aarwi

As you were reading Shayari by Sabir Aarwi

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Aarwi

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari