gham mein jo masarrat ke pahluu nikal aate hain | ग़म में जो मसर्रत के पहलू निकल आते हैं

  - Sabir Aarwi

gham mein jo masarrat ke pahluu nikal aate hain
ham laakh chhupaate hain aansu nikal aate hain

mii'ad badhaate hain vo qaid-e-mohabbat ki
ham bach ke aseeraan-e-gesoo nikal aate hain

kya rahrav-e-hasti ne phir raah-e-talab kho di
kyun shab ke andhere mein jugnoo nikal aate hain

jab bhi tiri zulfon ka charcha kahi hota hai
takh'eel ke goshe se ba-moo nikal aate hain

kyun barbat-e-dil chheden zakhamon ke gulistaan mein
kya jaaniye kya guzre jaadu nikal aate hain

saabir gham-e-hasti mein mayus na ho jaayen
har haal mein jeene ke pahluu nikal aate hain

ग़म में जो मसर्रत के पहलू निकल आते हैं
हम लाख छुपाते हैं आँसू निकल आते हैं

मीआ'द बढ़ाते हैं वो क़ैद-ए-मोहब्बत की
हम बच के असीरान-ए-गेसू निकल आते हैं

क्या रहरव-ए-हस्ती ने फिर राह-ए-तलब खो दी
क्यों शब के अंधेरे में जुगनू निकल आते हैं

जब भी तिरी ज़ुल्फ़ों का चर्चा कहीं होता है
तख़्ईल के गोशे से बा-मू निकल आते हैं

क्यों बरबत-ए-दिल छेड़ें ज़ख़्मों के गुलिस्ताँ में
क्या जानिए क्या गुज़रे जादू निकल आते हैं

'साबिर' ग़म-ए-हस्ती में मायूस न हो जाएँ
हर हाल में जीने के पहलू निकल आते हैं

  - Sabir Aarwi

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sabir Aarwi

As you were reading Shayari by Sabir Aarwi

Similar Writers

our suggestion based on Sabir Aarwi

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari