tu mai-kada mein ik aisa nizaam paida kar
ki sab ke lab ko jo pahunchen vo jaam paida kar
ridaa-e-hijr mein lipti rahe tabeeat-e-shauq
sehar ki yaad bhula de vo shaam paida kar
labon pe naam agar aa gaya to fakhr nahin
jo ho sake to dilon mein maqaam paida kar
sukhun muhaal nahin un ki anjuman mein magar
bas itni shart hai ik khush-kalaam paida kar
तू मै-कदा में इक ऐसा निज़ाम पैदा कर
कि सब के लब को जो पहुँचे वो जाम पैदा कर
रिदा-ए-हिज्र में लिपटी रहे तबीअत-ए-शौक़
सहर की याद भुला दे वो शाम पैदा कर
लबों पे नाम अगर आ गया तो फ़ख़्र नहीं
जो हो सके तो दिलों में मक़ाम पैदा कर
सुख़न मुहाल नहीं उन की अंजुमन में मगर
बस इतनी शर्त है इक ख़ुश-कलाम पैदा कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir Aarwi
our suggestion based on Sabir Aarwi
As you were reading Ijazat Shayari Shayari