ham zikr-e-nau-bahaar karein ya nahin karein
ik jabr ikhtiyaar karein ya nahin karein
khoon-e-jigar charagh-e-wafa khaana-e-umeed
ab un ka intizaar karein ya nahin karein
zanjeer ko sanbhaal ke baithe hain der se
deewaangi ko pyaar karein ya nahin karein
kya jaane loot le koi aakar mata-e-gham
haalaat saazgaar karein ya nahin karein
aaya hai phir salaam-e-mohabbat adab ke saath
ham un pe e'tibaar karein ya nahin karein
saabir kisi ki bazm se kuchh vaasta nahin
zikr-e-wafa-shi'aar karein ya nahin kareen
हम ज़िक्र-ए-नौ-बहार करें या नहीं करें
इक जब्र इख़्तियार करें या नहीं करें
ख़ून-ए-जिगर चराग़-ए-वफ़ा ख़ाना-ए-उमीद
अब उन का इंतिज़ार करें या नहीं करें
ज़ंजीर को सँभाल के बैठे हैं देर से
दीवानगी को प्यार करें या नहीं करें
क्या जाने लूट ले कोई आकर मता-ए-ग़म
हालात साज़गार करें या नहीं करें
आया है फिर सलाम-ए-मोहब्बत अदब के साथ
हम उन पे ए'तिबार करें या नहीं करें
'साबिर' किसी की बज़्म से कुछ वास्ता नहीं
ज़िक्र-ए-वफ़ा-शिआ'र करें या नहीं करीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sabir Aarwi
our suggestion based on Sabir Aarwi
As you were reading Mehman Shayari Shayari