tasbeeh haraam teri musalla haraam hai | तस्बीह हराम तेरी मुसल्ला हराम है - Safar

tasbeeh haraam teri musalla haraam hai
khilvat mein naam yaar ka lena haraam hai

khattaat shab-e-wasl ki pehli ye shart hai
mazmoon dik na paaye lifafa haraam hai

mere alaava kamre mein koi nahin bacha
seene p aapke ye dupatta haraam hai

main paanv choom luun jo riaayat mile sanam
lekin mere yahan p to sajda haraam hai

naadaaniyon ka radde amal hai alehdagi
ulfat mein raay ghair ki lena haraam hai

daasi utaar fenk ye chola ke shab dhale
jogi ko intezar karaana haraam hai

sundi ke jaise reng raha hoon gulaab par
zindaan hai naseeb zulaikha haraam hai

तस्बीह हराम तेरी मुसल्ला हराम है
ख़ल्वत में नाम यार का लेना हराम है

ख़त्तात शब-ए-वस्ल की पहली ये शर्त है
मज़मून दिख न पाए, लिफ़ाफ़ा हराम है

मेरे अलावा कमरे में कोई नहीं बचा
सीने प आपके ये दुपट्टा हराम है

मैं पाँव चूम लूँ जो रिआयत मिले सनम
लेकिन मेरे यहाँ प तो सजदा हराम है

नादानियों का रद्दे अमल है अलेहदगी
उल्फ़त में राय ग़ैर कि लेना हराम है

दासी उतार फेंक ये चोला, के शब ढले
जोगी को इंतज़ार कराना हराम है

सुंडी के जैसे रेंग रहा हूँ गुलाब पर
ज़िन्दान है नसीब, ज़ुलैख़ा हराम है।

- Safar
2 Likes

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Safar

As you were reading Shayari by Safar

Similar Writers

our suggestion based on Safar

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari