dekhiye kaun hai barabar mein | देखिये कौन है बराबर में - Safar

dekhiye kaun hai barabar mein
makhfi hoti hai aas bhi dar mein

ek aawaaz aayi tik tik ki
waqt badla hua tha pal bhar mein

kaisi dikhti hai rooh bolo na
kya chhupaaya hai hamse paikar mein

husn-e-jaanan se gar mili fursat
hashr dekhenge apna mahshar mein

tootkar daal se ye ilm hua
bin mere kaam ka tha sab ghar mein

udte firte hain chat se takraate
ab khichaav nahin hai bistar mein

देखिये कौन है बराबर में
मख्फ़ी होती है आस भी डर में

एक आवाज़ आई टिक टिक की
वक़्त बदला हुआ था पल भर में

कैसी दिखती है रूह बोलो ना
क्या छुपाया है हमसे पैकर में

हुस्न-ए-जानाँ से गर मिली फ़ुर्सत
हश्र देखेंगे अपना महशर में

टूटकर डाल से ये इल्म हुआ
बिन मेरे काम का था सब घर में

उड़ते फिरते हैं छत से टकराते
अब खिचाव नहीं है बिस्तर में

- Safar
1 Like

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Safar

As you were reading Shayari by Safar

Similar Writers

our suggestion based on Safar

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari