jhooth se sach ko koi rihaai nahin | झूट से सच को कोई रिहाई नहीं - Safar

jhooth se sach ko koi rihaai nahin
chat ke neeche se deewaar hatti nahin

daudti bhaagti zindagi se pare
ik ghadi aur hai jo ki chalti nahin

itni vehshat hui ek aawaaz se
kuch nahin chahiye ab hawa bhi nahin

phir ye aawaargi rang-e-dil kha gai
har dafa titliyaan hon zaroori nahin

aaiye dekhiye shakl deewaar mein
aaine todker sharm aati nahin

husn-e-shab par hai laazim charaag-e-seher
umr bhar koi qindeel jaltee nahin

झूट से सच को कोई रिहाई नहीं
छत के नीचे से दीवार हटती नहीं

दौड़ती भागती ज़िन्दगी से परे
इक घड़ी और है जो कि चलती नहीं

इतनी वहशत हुई एक आवाज़ से
कुछ नहीं चाहिए अब हवा भी नहीं

फिर ये आवारगी रंग-ए-दिल खा गई
हर दफ़अ तितलियां हों ज़रूरी नहीं

आइये देखिये शक्ल दीवार में
आईने तोड़कर शर्म आती नहीं

हुस्न-ए-शब पर है लाज़िम चराग़-ए-सहर
उम्र भर कोई क़िन्दील जलती नहीं

- Safar
1 Like

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Safar

As you were reading Shayari by Safar

Similar Writers

our suggestion based on Safar

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari