silsila khauf ka thamta nahin kyun kuchh to bata
roz marte hue marta nahin kyun kuchh to bata
qaid hai sadiyon se tu khud ke qafas mein kisi din
mauka pa bhag nikalta nahin kyun kuchh to bata
kaun sa haadsa dekha hai jahaan mein tune
dil kisi rang bahalta nahin kyun kuchh to bata
mausme duniya bhi har roz badal jaata hai
mausme zeest badalta nahin kyun kuchh to bata
raasta har dafa mujhko vo bataata hai par
saath mere kabhi chalta nahin kyun kuchh to bata
kaun si mitti se taameer kiya hai rab ne
ye dil-e-aadmi bharta nahin kyun kuchh to bata
khud ko ginata hai rafeeqon mein vo sach hai lekin
mere haq mein dua karta nahin kyun kuchh to bata
noch kar aankhon ko jo khaab saja leta tha
haif ab shakhs vo dikhta nahin kyun kuchh to bata
सिलसिला ख़ौफ़ का थमता नहीं क्यों कुछ तो बता
रोज़ मरते हुए मरता नहीं क्यों कुछ तो बता
क़ैद है सदियों से तू ख़ुद के क़फ़स में किसी दिन
मौका पा भाग निकलता नहीं क्यों कुछ तो बता
कौन सा हादसा देखा है जहाँ में तूने
दिल किसी रंग बहलता नहीं क्यों कुछ तो बता
मौसमे दुनिया भी हर रोज़ बदल जाता है
मौसमे ज़ीस्त बदलता नहीं क्यों कुछ तो बता
रास्ता हर दफ़ा मुझको वो बताता है पर
साथ मेरे कभी चलता नहीं क्यों कुछ तो बता
कौन सी मिट्टी से तामीर किया है रब ने
ये दिल-ए-आदमी भरता नहीं क्यों कुछ तो बता
ख़ुद को गिनता है रफ़ीक़ों में वो सच है लेकिन
मेरे हक़ में दुआ करता नहीं क्यों कुछ तो बता
नोच कर आँखों को जो ख़ाब सजा लेता था
'हैफ़' अब शख़्स वो दिखता नहीं क्यों कुछ तो बता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aman Kumar Shaw "Haif"
our suggestion based on Aman Kumar Shaw "Haif"
As you were reading Birthday Shayari Shayari