koi nahin mila hamein | "कोई नहीं मिला हमें"

  - Shehbaz Gohar

koi nahin mila hamein

tamaam umr ham na jaane kaun se khuda ko poojte rahe
na jaane kaun si nadi ke paaniyon mein chaand dhoondte rahe
paraai raunakon mein khush rahe
ajeeb raushni thi jismein kuchh nazar na aa saka
shehar mein rozgaar dhoondte dehaatiyon ko kya pata
bade gharo ki ladkiyon ki aadaten
kabhi kisi ke vaaste gar apne-aap ko sanwaarte to aur bhi bure lage
kabhi kisi ki aankh se bahe bhi to pata nahin chala hamein
kabhi kisi ko pyaar ka yaqeen na dila sake
faqat ham apne doston ke naamabar bane rahe
koi nahin mila hamein
hujoom-dar-hujoom haath the jo ek-doosre ko choomte chale gaye
koi nahin mila hamein
hamaara dil hamaari jeb mein pada raha
jahaan dil se dekhte ya jeb se
ye faisla nahin hua kabhi
magar hamein ye ilm tha
khuda ke ghar mein sab ke saamne
kisi ke hont choomna bura nahin

"कोई नहीं मिला हमें"

तमाम उम्र हम न जाने कौन से ख़ुदा को पूजते रहे
न जाने कौन सी नदी के पानियों में चाँद ढूँडते रहे
पराई रौनकों में ख़ुश रहे
अजीब रौशनी थी जिसमें कुछ नज़र न आ सका
शहर में रोज़गार ढूँडते देहातियों को क्या पता
बड़े घरों की लड़कियों की आदतें
कभी किसी के वास्ते गर अपने-आप को सँवारते तो और भी बुरे लगे
कभी किसी की आँख से बहे भी तो पता नहीं चला हमें
कभी किसी को प्यार का यक़ीं न दिला सके
फ़क़त हम अपने दोस्तों के नामाबर बने रहे
कोई नहीं मिला हमें
हुजूम-दर-हुजूम हाथ थे जो एक-दूसरे को चूमते चले गए
कोई नहीं मिला हमें
हमारा दिल हमारी जेब में पड़ा रहा
जहान दिल से देखते या जेब से?
ये फ़ैसला नहीं हुआ कभी
मगर हमें ये इल्म था
ख़ुदा के घर में सब के सामने
किसी के होंठ चूमना बुरा नहीं

  - Shehbaz Gohar

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Shehbaz Gohar

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari