soz-e-alam se door hua ja raha hoon main | सोज़-ए-अलम से दूर हुआ जा रहा हूँ मैं - Sheri Bhopali

soz-e-alam se door hua ja raha hoon main
vo to jala rahe hain bujha ja raha hoon main

maanoos-e-iltifaat hua ja raha hoon main
dekh ai nigaah-e-naaz mita ja raha hoon main

jalvo ki taabishein hain ki allah ki panaah
rangeen tajalliyon mein ghira ja raha hoon main

ye aate jaate hai nigah-e-ghaiz kis liye
le aaj tere dar se utha ja raha hoon main

raahon se aashna hoon na manzil-shanaas hoon
le ja raha hai shauq chala ja raha hoon main

kaifiyyat us nigaah ki hamdam bataaun kya
ik mauj hai ki jis mein baha ja raha hoon main

ya ibtida-e-ishq mein gham mere saath tha
ya gham ke saath saath chala ja raha hoon main

kya cheez hai naved-e-rihaai ki ham-nafs
jaise qafas samet uda ja raha hoon main

meri tabaahiyon pe zamaane ko rashk hai
tum to mita rahe ho bana ja raha hoon main

सोज़-ए-अलम से दूर हुआ जा रहा हूँ मैं
वो तो जला रहे हैं बुझा जा रहा हूँ मैं

मानूस-ए-इल्तिफ़ात हुआ जा रहा हूँ मैं
देख ऐ निगाह-ए-नाज़ मिटा जा रहा हूँ मैं

जल्वों की ताबिशें हैं कि अल्लाह की पनाह
रंगीं तजल्लियों में घिरा जा रहा हूँ मैं

ये आते जाते है निगह-ए-ग़ैज़ किस लिए
ले आज तेरे दर से उठा जा रहा हूँ मैं

राहों से आश्ना हूँ न मंज़िल-शनास हूँ
ले जा रहा है शौक़ चला जा रहा हूँ मैं

कैफ़िय्यत उस निगाह की हमदम बताऊँ क्या
इक मौज है कि जिस में बहा जा रहा हूँ मैं

या इब्तिदा-ए-इश्क़ में ग़म मेरे साथ था
या ग़म के साथ साथ चला जा रहा हूँ मैं

क्या चीज़ है नवेद-ए-रिहाई कि हम-नफ़स
जैसे क़फ़स समेत उड़ा जा रहा हूँ मैं

मेरी तबाहियों पे ज़माने को रश्क है
तुम तो मिटा रहे हो बना जा रहा हूँ मैं

- Sheri Bhopali
0 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Sheri Bhopali

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari