aankhon ke in dariya ko bahne ke raste do
dil banjar ho jaayega tum isko bahne do
isse pehle aa jaaye aankhon mein khoon meri
aansu ko kuchh waqt to in aankhon mein rahne do
hamko hoti hain khushiyaan har gham ko sahne mein
aadat hai hamko sahne kii hamko sahne do
awwal awwal ik khaamoshi hoti hai mujh mein
dard-e-gham marham hai mera isko bharne do
apna bojh utha kar kab tak hamko chalna hai
apne safar mein lagta nahin dil hamko marne do
ab jaakar apne hi zakhm bharenge ham raahi
dard-e-dil jalne waala hai isko jalne do
आँखों के इन दरिया को बहने के रस्ते दो
दिल बंजर हो जाएगा तुम इसको बहने दो
इससे पहले आ जाए आँखों में ख़ून मिरी
आँसू को कुछ वक़्त तो इन आँखों में रहने दो
हमको होती हैं ख़ुशियाँ हर ग़म को सहने में
आदत है हमको सहने की हमको सहने दो
अव्वल अव्वल इक ख़ामोशी होती है मुझ में
दर्द-ए-ग़म मरहम है मेरा इसको भरने दो
अपना बोझ उठा कर कब तक हमको चलना है
अपने सफ़र में लगता नहीं दिल हमको मरने दो
अब जाकर अपने ही ज़ख़्म भरेंगे हम राही
दर्द-ए-दिल जलने वाला है इसको जलने दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shivam Raahi Badayuni
our suggestion based on Shivam Raahi Badayuni
As you were reading Gham Shayari Shayari