zindagi ka har nafs mamnoon hai tadbeer ka
waizoo dhoka na do insaan ko taqdeer ka
apni sannaai ki tujh ko laaj bhi hai ya nahin
ai musavvir dekh rang udne laga tasveer ka
aap kyun ghabra gaye ye aap ko kya ho gaya
meri aahon se koi rishta nahin taaseer ka
dil se naazuk shay se kab tak ye harifaana sulook
dekh sheesha toota jaata hai tiri tasveer ka
har nafs ki aamad-o-shud par ye hoti hai khushi
ek halka aur bhi kam ho gaya zanjeer ka
farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijaab
warna main aks-e-mukammal hoon tiri tasveer ka
ज़िंदगी का हर नफ़स मम्नून है तदबीर का
वाइज़ो धोका न दो इंसान को तक़दीर का
अपनी सन्नाई की तुझ को लाज भी है या नहीं
ऐ मुसव्विर देख रंग उड़ने लगा तस्वीर का
आप क्यूँ घबरा गए ये आप को क्या हो गया
मेरी आहों से कोई रिश्ता नहीं तासीर का
दिल से नाज़ुक शय से कब तक ये हरीफ़ाना सुलूक
देख शीशा टूटा जाता है तिरी तस्वीर का
हर नफ़स की आमद-ओ-शुद पर ये होती है ख़ुशी
एक हल्क़ा और भी कम हो गया ज़ंजीर का
फ़र्क़ इतना है कि तू पर्दे में और मैं बे-हिजाब
वर्ना मैं अक्स-ए-मुकम्मल हूँ तिरी तस्वीर का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Subhan Asad
our suggestion based on Subhan Asad
As you were reading Bahan Shayari Shayari