rukhsati ke din chukaana hoga jurmaana sanam
ik dafa dena padega phir se ye shaana sanam
bhool kar mujh ko jo tum ne bhool ki thi ik dafa
zikr bhi us bhool ka lab par nahin laana sanam
tum saja dena khile sadhaa gulaabon se mujhe
aakhiri hoga tumhaara ye hi harjaana sanam
jo chhupa kar aaj bhi rakhe hain khat sandooq mein
chahte hain un khatoon ko saath le jaana sanam
chaand ke jaane se hi raatein badalti subh mein
jaate jaate bas yahi kehta hai deewaana sanam
रुख़्सती के दिन चुकाना होगा जुर्माना सनम
इक दफ़ा देना पड़ेगा फिर से ये शाना सनम
भूल कर मुझ को जो तुम ने भूल की थी इक दफ़ा
ज़िक्र भी उस भूल का लब पर नहीं लाना सनम
तुम सजा देना खिले सदहा गुलाबों से मुझे
आख़िरी होगा तुम्हारा ये ही हर्जाना सनम
जो छुपा कर आज भी रक्खे हैं ख़त संदूक़ में
चाहते हैं उन ख़तों को साथ ले जाना सनम
चाँद के जाने से ही रातें बदलती सुब्ह में
जाते जाते बस यही कहता है दीवाना सनम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sweety Joshi
our suggestion based on Sweety Joshi
As you were reading Mehboob Shayari Shayari