waadi ki sab se lambi ladki ke jism ke sab masaamon se | वादी की सब से लम्बी लड़की के जिस्म के सब मसामों से

  - Tabassum Kashmiri

waadi ki sab se lambi ladki ke jism ke sab masaamon se
resham se ziyaada mulaayem aur narm khamoshi mein
ghantiyon ki aawaazen aa rahi theen
barkha ki us nam-zada raat mein
jab us ke jism pe qaus-e-quzah chamki
to ghantiyaan tez tez bajne lagin
mere kaanon mein aahaten aa rahi theen
dhund se bhi narm aur mulaayem baadlon ki dabey paanv aahaten
vo jab resham ke kacche taaron se bani hui
raat ke farsh par leti
to qaus-e-quzah aur bhi shokh aur garm rangon mein dhalne lagi
vo saikdon rangon se murtabb-shuda ladki
raat gaye tak garm rangon mein pighalti gai
subh hone par suraj ki pehli kiran
rozan se kamre mein daakhil hui
to us ke jism se
raat ki khwaabida ghantiyon ki aawaazen sun kar
aur us ke jism pe soye hue garm rangon ko dekh kar
ek dam sharmaa gai
waadi ki sab se lambi ladki
dhund se bhi narm aur resham se mulaayem

वादी की सब से लम्बी लड़की के जिस्म के सब मसामों से
रेशम से ज़्यादा मुलाएम और नर्म ख़मोशी में
घंटियों की आवाज़ें आ रही थीं
बरखा की उस नम-ज़दा रात में
जब उस के जिस्म पे क़ौस-ए-क़ुज़ह चमकी
तो घंटियाँ तेज़ तेज़ बजने लगीं
मिरे कानों में आहटें आ रही थीं
धुँद से भी नर्म और मुलाएम बादलों की दबे पाँव आहटें
वो जब रेशम के कच्चे तारों से बनी हुई
रात के फ़र्श पर लेटी
तो क़ौस-ए-क़ुज़ह और भी शोख़ और गर्म रंगों में ढलने लगी
वो सैंकड़ों रंगों से मुरत्तब-शुदा लड़की
रात गए तक गर्म रंगों में पिघलती गई
सुब्ह होने पर सूरज की पहली किरन
रौज़न से कमरे में दाख़िल हुई
तो उस के जिस्म से
रात की ख़्वाबीदा घंटियों की आवाज़ें सुन कर
और उस के जिस्म पे सोए हुए गर्म रंगों को देख कर
एक दम शरमा गई
वादी की सब से लम्बी लड़की
धुँद से भी नर्म और रेशम से मुलाएम

  - Tabassum Kashmiri

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari