main ne aashaon ki aankhen
chehre hont aur neele baazu
noch liye hain
un ke garm lahu se main ne
apne haath bhigo dale hain
dopahron ki taptee dhoop mein
khwaahishein apne jism utha kar
chobi khidki ke sheeshon se
akshar jhaankti rahti hain
aankhen hont aur zakhmi baazu
jaane kya kuchh mujh se kahte rahte hain
jaane kya kuchh un se kehta rehta hoon
raat gaye tak zakhmi khwaahishein
bistar ki ik ik silvat se
nikal nikal kar roti hain
aur sehar ko un ke khoon se
apne haath bhigo leta hoon
मैं ने आशाओं की आँखें
चेहरे होंट और नीले बाज़ू
नोच लिए हैं
उन के गर्म लहू से मैं ने
अपने हाथ भिगो डाले हैं
दोपहरों की तपती धूप में
ख़्वाहिशें अपने जिस्म उठा कर
चोबी खिड़की के शीशों से
अक्सर झाँकती रहती हैं
आँखें होंट और ज़ख़्मी बाज़ू
जाने क्या कुछ मुझ से कहते रहते हैं
जाने क्या कुछ उन से कहता रहता हूँ
रात गए तक ज़ख़्मी ख़्वाहिशें
बिस्तर की इक इक सिलवट से
निकल निकल कर रोती हैं
और सहर को उन के ख़ून से
अपने हाथ भिगो लेता हूँ
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Tabassum Kashmiri
As you were reading Dhoop Shayari Shayari