mujhe lagta hai | मुझे लगता है

  - Tabassum Kashmiri

mujhe lagta hai
zameen ke kisi gumnaam mantqe mein
ham kabhi saath saath rahte the
mujhe ab tumhaara naam yaad nahin
tumhaari shakl bhi yaad nahin
magar ye lagta hai
ki shaayad kai sadiyaan pehle
kisi pichhle janam ki seedhiyon par
ham saath saath baithe the
vo seedhiyaan kahaan theen
aur pichhla janam kahaan hua tha
mujhe to yaad nahin
shaayad tum ko bhi yaad na hoga
haan bas itna yaad hai
ek chhote se ghar mein
ham sar-e-shaam devta ke liye diye jalate the
aur diyon ke qareeb ek panchi rehta tha
jo baadal barkha aur dhoop ke geet gaata tha
geet sunte sunte
aur diye bujhne se pehle hi
ham naamdo par so jaate the
aur phir ham dono mil kar
ek jaisa koi khwaab dekhte the
bahut se taalaabon junglon
aur baagon ka khwaab
subh-dam anganaai mein suraj utar aata tha
panchi pedon par
aur ek baadal chat par baith jaata tha
phir ham chaukhat par baith kar
rangon ki baazgashte sunte hue
ek taalaab ko dekhte rahte the
mujhe lagta hai ye ham hi the
jo taalaab ki taraf dekhte aur baazgashte sunte the
haan shaayad ham hi the
ab ye yaad nahin us samay hamaare naam kya the

मुझे लगता है
ज़मीन के किसी गुमनाम मंतक़े में
हम कभी साथ साथ रहते थे
मुझे अब तुम्हारा नाम याद नहीं
तुम्हारी शक्ल भी याद नहीं
मगर ये लगता है
कि शायद कई सदियाँ पहले
किसी पिछले जन्म की सीढ़ियों पर
हम साथ साथ बैठते थे
वो सीढ़ियाँ कहाँ थीं
और पिछ्ला जन्म कहाँ हुआ था
मुझे तो याद नहीं
शायद तुम को भी याद न होगा
हाँ बस इतना याद है
एक छोटे से घर में
हम सर-ए-शाम देवता के लिए दिए जलाते थे
और दियों के क़रीब एक पंछी रहता था
जो बादल बरखा और धूप के गीत गाता था
गीत सुनते सुनते
और दिए बुझने से पहले ही
हम नमदों पर सो जाते थे
और फिर हम दोनों मिल कर
एक जैसा कोई ख़्वाब देखते थे
बहुत से तालाबों जंगलों
और बाग़ों का ख़्वाब
सुब्ह-दम अँगनाई में सूरज उतर आता था
पंछी पेड़ों पर
और एक बादल छत पर बैठ जाता था
फिर हम चौखट पर बैठ कर
रंगों की बाज़गश्तें सुनते हुए
एक तालाब को देखते रहते थे
मुझे लगता है ये हम ही थे
जो तालाब की तरफ़ देखते और बाज़गश्तें सुनते थे
हाँ शायद हम ही थे
अब ये याद नहीं उस समय हमारे नाम क्या थे

  - Tabassum Kashmiri

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Kashmiri

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari