main tanhaa tha | मैं तन्हा था

  - Tabassum Zia

main tanhaa tha
kal bhi aur aaj bhi
main jaanta tha ki main neela hoon
lekin tumhaari awaaz par main baahar nikal aaya
gore kaale aur khaakistarayon ke darmiyaan
aur ab main zakhmi hoon

kaash tum mujh se nafrat karti to main waapas tanhaai ke tane mein chhup jaata
jahaan mere aansu shaakhon par ugte
aur main fan ke meethe fal deta
tum ne jab jab awaaz di
meri tanhaai mujh se rooth gai
aur main har baar karaahta hua lautaa

rehm ek afsaana hai
mujh par likh daalo
kabhi to ehsaas ko ungliyon pe gin daalo
main apne ghamon aur khushiyon
eidoon aur shab-raaton ki saathi
apni dulhan tanhaai ko
bhairaveen ke komal suron ki tarah
sada suhaagan rakhoonga

मैं तन्हा था
कल भी और आज भी
मैं जानता था कि मैं नीला हूँ
लेकिन तुम्हारी आवाज़ पर मैं बाहर निकल आया
गोरे काले और ख़ाकिस्तरयों के दरमियान
और अब मैं ज़ख़्मी हूँ

काश तुम मुझ से नफ़रत करतीं तो मैं वापस तन्हाई के तने में छुप जाता
जहाँ मेरे आँसू शाख़ों पर उगते
और मैं फ़न के मीठे फल देता
तुम ने जब जब आवाज़ दी
मेरी तन्हाई मुझ से रूठ गई
और मैं हर बार कराहता हुआ लौटा

रहम एक अफ़्साना है
मुझ पर लिख डालो
कभी तो एहसास को उँगलियों पे गिन डालो
मैं अपने ग़मों और ख़ुशियों
ईदों और शब-रातों की साथी
अपनी दुल्हन तन्हाई को
भैरवीं के कोमल सुरों की तरह
सदा सुहागन रखूँगा

  - Tabassum Zia

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Tabassum Zia

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari