ye jo kuchh aaj hai kal to nahin hai
ye shaam-e-gham musalsal to nahin hai
main akshar raaston par sochta hoon
ye basti koi jungle to nahin hai
yaqeenan tum mein koi baat hogi
ye duniya yoonhi paagal to nahin hai
main lamha lamha marta ja raha hoon
mera ghar mera maqtal to nahin hai
kisi par chha gaya barsa kisi par
vo ik aawaara baadal to nahin hai
ये जो कुछ आज है कल तो नहीं है
ये शाम-ए-ग़म मुसलसल तो नहीं है
मैं अक्सर रास्तों पर सोचता हूँ
ये बस्ती कोई जंगल तो नहीं है
यक़ीनन तुम में कोई बात होगी
ये दुनिया यूँही पागल तो नहीं है
मैं लम्हा लम्हा मरता जा रहा हूँ
मिरा घर मेरा मक़्तल तो नहीं है
किसी पर छा गया बरसा किसी पर
वो इक आवारा बादल तो नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taj Bhopali
our suggestion based on Taj Bhopali
As you were reading Shahr Shayari Shayari