dil teri nazar ki shah pa kar milne ke bahaane dhundhe hai
geeton ki fazaayein maange hai ghazalon ke zamaane dhundhe hai
aankhon mein liye shabnam ki chamak seene mein liye doori ki kasak
vo aaj hamaare paas aa kar kuchh zakham purane dhundhe hai
kya baat hai teri baaton ki lahja hai ki hai jaadu koi
har aan fazaa mein dil ud kar taaron ke khazaane dhundhe hai
pehle to chhute ye dair-o-haram phir ghar chhoota phir may-khaana
ab taaj tumhaari galiyon mein rone ke thikaane dhundhe hai
दिल तेरी नज़र की शह पा कर मिलने के बहाने ढूँढे है
गीतों की फ़ज़ाएँ माँगे है ग़ज़लों के ज़माने ढूँढे है
आँखों में लिए शबनम की चमक सीने में लिए दूरी की कसक
वो आज हमारे पास आ कर कुछ ज़ख़्म पुराने ढूँढे है
क्या बात है तेरी बातों की लहजा है कि है जादू कोई
हर आन फ़ज़ा में दिल उड़ कर तारों के ख़ज़ाने ढूँढे है
पहले तो छुटे ये दैर-ओ-हरम फिर घर छूटा फिर मय-ख़ाना
अब 'ताज' तुम्हारी गलियों में रोने के ठिकाने ढूँढे है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taj Bhopali
our suggestion based on Taj Bhopali
As you were reading Faasla Shayari Shayari