ilaaj-e-dard-o-gham-e-zindagi kahaan se laayein | इलाज-ए-दर्द-ओ-ग़म-ए-ज़िंदगी कहाँ से लाएँ

  - Taj Bhopali

ilaaj-e-dard-o-gham-e-zindagi kahaan se laayein
kaho jo sabr karein sabr bhi kahaan se laayein

ye mehr-o-maah to is anjuman ki zeenat hain
ham apne ghar ke liye raushni kahaan se laayein

ye sard sard sitaare dhuaan dhuaan mahtaab
jo dil ko phoonk de vo chaandni kahaan se laayein

hamaare sher'on ne tode to hain hazaar tilism
tiri nigaah ki jaadu-gari kahaan se laayein

इलाज-ए-दर्द-ओ-ग़म-ए-ज़िंदगी कहाँ से लाएँ
कहो जो सब्र करें सब्र भी कहाँ से लाएँ

ये मेहर-ओ-माह तो इस अंजुमन की ज़ीनत हैं
हम अपने घर के लिए रौशनी कहाँ से लाएँ

ये सर्द सर्द सितारे धुआँ धुआँ महताब
जो दिल को फूँक दे वो चाँदनी कहाँ से लाएँ

हमारे शे'रों ने तोड़े तो हैं हज़ार तिलिस्म
तिरी निगाह की जादू-गरी कहाँ से लाएँ

  - Taj Bhopali

Raushni Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taj Bhopali

As you were reading Shayari by Taj Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Taj Bhopali

Similar Moods

As you were reading Raushni Shayari Shayari