aaj dil soch raha hai jaise | आज दिल सोच रहा है जैसे

  - Taj Bhopali

aaj dil soch raha hai jaise
may har ik gham ki dava hai jaise

jaan hatheli pe liye firte hain
ik yahi shart-e-wafa hai jaise

kahi moti kahi taare kahi phool
dehr teri hi qaba hai jaise

dasht-e-ghurbat mein tira naama-e-shauq
haath mein phool khila hai jaise

is tarah chup hain tira gham le kar
ye bhi qismat ka likha hai jaise

आज दिल सोच रहा है जैसे
मय हर इक ग़म की दवा है जैसे

जाँ हथेली पे लिए फिरते हैं
इक यही शर्त-ए-वफ़ा है जैसे

कहीं मोती कहीं तारे कहीं फूल
दहर तेरी ही क़बा है जैसे

दश्त-ए-ग़ुर्बत में तिरा नामा-ए-शौक़
हाथ में फूल खिला है जैसे

इस तरह चुप हैं तिरा ग़म ले कर
ये भी क़िस्मत का लिखा है जैसे

  - Taj Bhopali

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taj Bhopali

As you were reading Shayari by Taj Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Taj Bhopali

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari