dil ke zakhamon ko phir ik baar badhaana hai mujhe | दिल के ज़ख़्मों को फिर इक बार बढ़ाना है मुझे - Haider Khan

dil ke zakhamon ko phir ik baar badhaana hai mujhe
phir se us kooche se hote hue jaana hai mujhe

apne lehje ko kabhi goonjte sannaaton mein sun
ye zahar tujhko tire haathon pilaana hai mujhe

isliye jhaankta rehta hoon tiri aankhon mein
teri aankhon ka har ik ashk churaana hai mujhe

jis se nazrein na miliin aur na kabhi baat hui
aise ik shakhs se is dil ko milaana hai mujhe

sochta hoon ki tire naam pe ab khat na likhoon
faaeda kya jo ise likh ke jalana hai mujhe

vo ye kehta hai khuda hai to dikhaai bhi to de
uske dil par jo ye parda hai uthaana hai mujhe

main nahin chahta mujh se ho kabhi ishq use
usko barbaad ho jaane se bachaana hai mujhe

waizoon tumko mubarak hon ye jannat ke mahal
maa ka aanchal hi mere sar pe khazana hai mujhe

दिल के ज़ख़्मों को फिर इक बार बढ़ाना है मुझे
फिर से उस कूचे से होते हुए जाना है मुझे

अपने लहजे को कभी गूंजते सन्नाटों में सुन
ये ज़हर तुझको तिरे हाथों पिलाना है मुझे

इसलिए झाँकता रहता हूँ तिरी आँखों में
तेरी आँखों का हर इक अश़्क चुराना है मुझे

जिस से नज़रें न मिलीं और न कभी बात हुई
ऐसे इक शख़्स से इस दिल को मिलाना है मुझे

सोचता हूँ कि तिरे नाम पे अब ख़त न लिखूँ
फ़ाएदा क्या जो इसे लिख के जलाना है मुझे

वो ये कहता है ख़ुदा है तो दिखाई भी तो दे
उसके दिल पर जो ये पर्दा है उठाना है मुझे

मैं नहीं चाहता मुझ से हो कभी इश्क़ उसे
उसको बर्बाद हो जाने से बचाना है मुझे

वाइ'ज़ों तुमको मुबारक हों ये जन्नत के महल
मां का आँचल ही मेरे सर पे ख़ज़ाना है मुझे

- Haider Khan
1 Like

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari