haal-e-dil kyun na tujhe aaj sunaayein ye bata | हाल-ए-दिल क्यों न तुझे आज सुनाएँ ये बता - Haider Khan

haal-e-dil kyun na tujhe aaj sunaayein ye bata
kyun bhala ishq ke jazbe ko dabaaein ye bata

hum to is jurm-e-mohabbat mein jale jaate hain
iski ab hamko tu kya dega sazaayein ye bata

sab to zaahir hue jaata hai mere chehre se
raaz-e-ulfat ko bhala kaise chhupaayein ye bata

dil ki basti ko tere aane pe raushan kar den
ya tere jaane pe hum isko jalaaen ye bata

tere pairo'n mein jhankati hui paayal baandhe
ya tere maathe pe ik bosa sajaayein ye bata

teri aankhon ke samundar mein kahi doob chalen
ya tere kadmon pe taaron ko bichhaaein ye bata

tujhse aankhon ko milaate hue izhaar karein
ya ki izhaar mein nazaron ko jhukaayein ye bata

hum kisi aur safar ka kahi aagaaz karein
ya tere saath hi ab shehar basaaein ye bata

hamko ghaayal kiya lehje ne kabhi nazaron ne
ye adaayein hain teri ya hain jafaaen ye bata

kuch usoolon pe tika hota hai rishton ka shajar
ab yahi cheez tujhe kaise sikhaayein ye bata

हाल-ए-दिल क्यों न तुझे आज सुनाएँ ये बता
क्यों भला इश्क़ के जज़्बे को दबाएँ ये बता

हम तो इस जुर्म-ए-मोहब्बत में जले जाते हैं
इसकी अब हमको तू क्या देगा सज़ाएँ ये बता

सब तो ज़ाहिर हुए जाता है मेरे चेहरे से
राज़-ए-उल्फ़त को भला कैसे छुपाएँ ये बता

दिल की बस्ती को तेरे आने पे रौशन कर दें
या तेरे जाने पे हम इसको जलाएँ ये बता

तेरे पैरों में झनकती हुई पायल बांधे
या तेरे माथे पे इक बोसा सजाएँ ये बता

तेरी आँखों के समुंदर में कहीं डूब चलें
या तेरे कदमों पे तारों को बिछाएँ ये बता

तुझसे आँखों को मिलाते हुए इज़हार करें
या कि इज़हार में नज़रों को झुकाएँ ये बता

हम किसी और सफ़र का कहीं आगाज़ करें
या तेरे साथ ही अब शहर बसाएँ ये बता

हमको घायल किया लहजे ने कभी नज़रों ने
ये अदाएँ हैं तेरी या हैं जफ़ाएँ ये बता

कुछ उसूलों पे टिका होता है रिश्तों का शजर
अब यही चीज़ तुझे कैसे सिखाएँ ये बता

- Haider Khan
3 Likes

Propose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Propose Shayari Shayari