bah rahi hai phir wahi purwa suhaani raat mein | बह रही है फिर वही पुरवा सुहानी रात में

  - Updesh 'Vidyarthi'

bah rahi hai phir wahi purwa suhaani raat mein
chal padi hai swapn ki phir raajdhaani raat mein

laut aaya hai mera bachpan dobaara phir wahi
phir sunaayengi mujhe daadi kahaani raat mein

phir lutega dil kisi ka dekhna aakaash mein
badh rahi hai chaand ki phir nit jawaani raat mein

phir sitaaron ki koi baaraat niklegi yahan
phir utar aayengi pariyaan aasmaani raat mein

phir chamakne lag gaye jugnoo mere itaraaf mein
phir se milne aa gai paagal divaani raat mein

phir kamal khilne lage hain gaav ke taalaab mein
phir mahakne lag gai hai raat raani raat mein

chhoti moti baat par ladna jhagadna roz hi
din ki saari dushmani phir bhool jaani raat mein

phir sharaarat badh gai hain saare bacchon ki bahut
phir daraane aayegi bhooton ki naani raat mein

jab pishaachon ka milan hota hai kaali raat mein
tab lahu ban jaata hai dariya ka paani raat mein

aur sunna hai agar upadesh aana gaav mein
phir sunaayenge kabhi baaki kahaani raat mein

बह रही है फिर वही पुरवा सुहानी रात में
चल पड़ी है स्वप्न की फिर राजधानी रात में

लौट आया है मेरा बचपन दुबारा फिर वही
फिर सुनाएँगी मुझे दादी कहानी रात में

फिर लुटेगा दिल किसी का देखना आकाश में
बढ़ रही है चाँद की फिर नित जवानी रात में

फिर सितारों की कोई बारात निकलेगी यहाँ
फिर उतर आएँगी परियाँ आसमानी रात में

फिर चमकने लग गए जुगनू मेरे अतराफ़ में
फिर से मिलने आ गई पागल दिवानी रात में

फिर कमल खिलने लगे हैं गाँव के तालाब में
फिर महकने लग गई है रात रानी रात में

छोटी मोटी बात पर लड़ना झगड़ना रोज़ ही
दिन की सारी दुश्मनी फिर भूल जानी रात में

फिर शरारत बढ़ गई हैं सारे बच्चों की बहुत
फिर डराने आएगी भूतों की नानी रात में

जब पिशाचों का मिलन होता है काली रात में
तब लहू बन जाता है दरिया का पानी रात में

और सुनना है अगर 'उपदेश' आना गाँव में
फिर सुनाएँगे कभी बाक़ी कहानी रात में

  - Updesh 'Vidyarthi'

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Updesh 'Vidyarthi'

As you were reading Shayari by Updesh 'Vidyarthi'

Similar Writers

our suggestion based on Updesh 'Vidyarthi'

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari