asar hota nahin hai pattharon par
hamein bhi naaz hai apne saroon par
main hilti shaakh se darta nahin hoon
bharosa hai mujhe apne paron par
duaaein maangti rahti hain nadiyaan
umad aate hain baadal saagaron par
mujhe un bastiyon ki aarzoo hai
jahaan taale nahin milte gharo par
qalam kamzor padta ja raha hai
siyaasat chha rahi hai sha'iron par
lade dono the hindu aur muslim
magar kis ka lahu tha khanjaron par
agar khud par bharosa hai to ulfat
ubhar aate hain chehre pattharon par
असर होता नहीं है पत्थरों पर
हमें भी नाज़ है अपने सरों पर
मैं हिलती शाख़ से डरता नहीं हूँ
भरोसा है मुझे अपने परों पर
दुआएँ माँगती रहती हैं नदियाँ
उमड आते हैं बादल सागरों पर
मुझे उन बस्तियों की आरज़ू है
जहाँ ताले नहीं मिलते घरों पर
क़लम कमज़ोर पड़ता जा रहा है
सियासत छा रही है शाइ'रों पर
लड़े दोनों थे हिन्दू और मुस्लिम
मगर किस का लहू था ख़ंजरों पर
अगर ख़ुद पर भरोसा है तो 'उल्फ़त'
उभर आते हैं चेहरे पत्थरों पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ulfat Batalvi
our suggestion based on Ulfat Batalvi
As you were reading Bharosa Shayari in Hindi Shayari