ye bhool jaao ki dar jaayegi meri khushboo
har ek samt ko mehkaayegi meri khushboo
yahan wahan ye udegi par apni marzi se
hawa ke rukh se na ghabraayegi meri khushboo
main apne baagh mein jab phool ban ke mehkoonga
tumhaare tak bhi pahunch jaayegi meri khushboo
ye titliyan koi toofaan bikher de warna
isee qafas mein simat jaayegi meri khushboo
mujhe bhi waqt ki aandhi ka ilm hai ulfat
magar ye sach hai ki yaad aayegi meri khushboo
ये भूल जाओ कि डर जाएगी मिरी ख़ुशबू
हर एक सम्त को महकाएगी मिरी ख़ुशबू
यहाँ वहाँ ये उड़ेगी पर अपनी मर्ज़ी से
हवा के रुख़ से न घबराएगी मिरी ख़ुशबू
मैं अपने बाग़ में जब फूल बन के महकूँगा
तुम्हारे तक भी पहुँच जाएगी मिरी ख़ुशबू
ये तितलियाँ कोई तूफ़ाँ बिखेर दे वर्ना
इसी क़फ़स में सिमट जाएगी मिरी ख़ुशबू
मुझे भी वक़्त की आँधी का इल्म है 'उल्फ़त'
मगर ये सच है कि याद आएगी मिरी ख़ुशबू
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ulfat Batalvi
our suggestion based on Ulfat Batalvi
As you were reading I Miss you Shayari Shayari