main jaanta hoon ki saare bure nahin hote
magar ye sach hai ki sab ek se nahin hote
mere paron mein agar hausale nahin hote
ye aasmaan mere aage jhuke nahin hote
mere sanam jo mujhe tum mile nahin hote
sukoon-e-dil se mere raabte nahin hote
zameen paani hawa dekh bhala sab kuchh hai
na jaane kyun mere boote hare nahin hote
ye tera qad hai jo rakhta hai ahmiyat warna
khush-aamdeed ko saare jhuke nahin hote
adaalaton se jude saare daavedaaron mein
ye chugliyaan hain sahi faisley nahin hote
jo ho sake to zabaan ko zara saral rakhna
bahut se neta ziyaada parhe nahin hote
mere khuda ki inaayat agar nahin hoti
mere charaagh hawa mein jale nahin hote
tamaam umr kai log chhote rahte hain
bulandiyon pe bhi ja kar bade nahin hote
मैं जानता हूँ कि सारे बुरे नहीं होते
मगर ये सच है कि सब एक से नहीं होते
मिरे परों में अगर हौसले नहीं होते
ये आसमाँ मेरे आगे झुके नहीं होते
मिरे सनम जो मुझे तुम मिले नहीं होते
सुकून-ए-दिल से मिरे राब्ते नहीं होते
ज़मीन पानी हवा देख भला सब कुछ है
न जाने क्यों मेरे बूटे हरे नहीं होते
ये तेरा क़द है जो रखता है अहमियत वर्ना
ख़ुश-आमदीद को सारे झुके नहीं होते
अदालतों से जुड़े सारे दावेदारों में
ये चुग़लियाँ हैं सही फ़ैसले नहीं होते
जो हो सके तो ज़बाँ को ज़रा सरल रखना
बहुत से नेता ज़ियादा पढ़े नहीं होते
मिरे ख़ुदा की इनायत अगर नहीं होती
मिरे चराग़ हवा में जले नहीं होते
तमाम उम्र कई लोग छोटे रहते हैं
बुलंदियों पे भी जा कर बड़े नहीं होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ulfat Batalvi
our suggestion based on Ulfat Batalvi
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari