urdu ki shaay'ri hai to hogi ye baat bhi
ilm-e-arooz bhi hai rumooz-o-nikaat bhi
yun hi guzar na jaaye milan ki ye raat bhi
aao ki ab to kar len koi apni baat bhi
tum apni muskuraahaten khona nahin kabhi
gum-gashta ho na jaaye meri kaayenaat bhi
ham par karam hai aap ki tashreef-aavari
ab iltimaas hai ki rahe iltifaat bhi
chhote kisaan hain ki mare ja rahein roz
haalat pe apni ro rahi hai shaam-laath bhi
kya mera naam kaafi nahin hai ki aap ab
mujh se ye kah rahe hain likhoon apni zaat bhi
kuchh nekiyaan kamaane ki jaldi hamein bhi hai
na-qaabil-e-yaqeen hai hamaari hayaat bhi
उर्दू की शाइ'री है तो होगी ये बात भी
इल्म-ए-अरूज़ भी है रुमूज़-ओ-निकात भी
यूँ ही गुज़र न जाए मिलन की ये रात भी
आओ कि अब तो कर लें कोई अपनी बात भी
तुम अपनी मुस्कुराहटें खोना नहीं कभी
गुम-गश्ता हो न जाए मिरी काएनात भी
हम पर करम है आप की तशरीफ़-आवरी
अब इल्तिमास है कि रहे इल्तिफ़ात भी
छोटे किसान हैं कि मरे जा रहें रोज़
हालत पे अपनी रो रही है शाम-लात भी
क्या मेरा नाम काफ़ी नहीं है कि आप अब
मुझ से ये कह रहे हैं लिखूँ अपनी ज़ात भी
कुछ नेकियाँ कमाने की जल्दी हमें भी है
ना-क़ाबिल-ए-यक़ीं है हमारी हयात भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ulfat Batalvi
our suggestion based on Ulfat Batalvi
As you were reading Urdu Shayari Shayari