gahe-gahe na mujh ko ghiza deejie | गाहे-गाहे न मुझ को ग़िज़ा दीजिए

  - Ulfat Batalvi

gahe-gahe na mujh ko ghiza deejie
bhook ko maarnay ki dava deejie

main hoon saccha to mujh ko sila deejie
aur jhoota hoon to phir saza deejie

bol kar hi bataana zaroori nahin
aap raazi hain to muskuraa deejie

vo jo chehre ke peeche bhi dikhaata ho
mujh ko aisa koi aaina deejie

ham bhi aaye hain jhukne dar-e-yaar par
ham ko bhi jaane ka raasta deejie

mere dil mein to bas aap hi aap hain
aap ke dil mein kya hai bata deejie

apne baahar se ulfat bahut mil chuka
ab mere ghar se mujh ko mila deejie

गाहे-गाहे न मुझ को ग़िज़ा दीजिए
भूक को मारने की दवा दीजिए

मैं हूँ सच्चा तो मुझ को सिला दीजिए
और झूटा हूँ तो फिर सज़ा दीजिए

बोल कर ही बताना ज़रूरी नहीं
आप राज़ी हैं तो मुस्कुरा दीजिए

वो जो चेहरे के पीछे भी दिखलाता हो
मुझ को ऐसा कोई आईना दीजिए

हम भी आए हैं झुकने दर-ए-यार पर
हम को भी जाने का रास्ता दीजिए

मेरे दिल में तो बस आप ही आप हैं
आप के दिल में क्या है बता दीजिए

अपने बाहर से 'उल्फ़त' बहुत मिल चुका
अब मिरे घर से मुझ को मिला दीजिए

  - Ulfat Batalvi

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ulfat Batalvi

As you were reading Shayari by Ulfat Batalvi

Similar Writers

our suggestion based on Ulfat Batalvi

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari